![]() | No ratings.
Saha nahin jata tumhare pas rahne ka dard |
| Saha nahin jata tumhare pas rahne ka dard Aur dur rahne ke liya bhi Himmat juta nahin pata Tum to vahi ho – jaisi pahle thin Vahi hansi aur vahi bolne ka andaz, aur Vahi balon ke jhatakne ki ada – Phir kya khojta rahta hoon Jo ab nahin raha tumhare pas Shayad men hi ghalat houn Jo nahin sah pata rahna tumhare pas Dard to dard hai Chahe vo pas hone ka ho ya bichud jane ka Bichudne ke dard Se to pas rahne vala dard Kuch zyada lagta hai Iska matlab ye bilkul nahin hai Ki dard kam karne ke liye Bichudna zaruri hai |