![]() |
its a hindi poem writen by me...... |
| Ye zindgi ka safar bhi kuch ajib sa hai, Lagta iska har lamha manzil k karib sa hai kabhi aanhko me nami, kabhi hotho pe hansi, Har aalam iska ek bahti hue nadi sa hai.. kuch Rishte tutte hai is safar me to bante hai kuch khawab bhi naye dekha bhi hai kuch cheharo ko apni aankho ko aansuo se dhote hue. ye har pal badalti waqt ki raftar sa hai ye bhid me khoi ek lambi katar sa hai,, yade kuch kho jati hai lamho me lamhe kuch yad aate h yado me, bate rah jati hai sawalo me,,. kuch sawal kho jate hai jawabo me ye har pal badlte mere hotho k geet sa hai ye zindgi ka safar kuch ajib sa hai.... maloom nahi kaha tak hai rasta phir bhi chalna to hai, har kisi ko mujh se ,or mujhe unse aage niklna to hai,, ye kabhi kisi ki chikhti pukar sa hai to kabhi kisi k sath chalne k intzar sa hai... ye zindgi ka safar bhi kuch ajib sa hai lagta iska har lamha manzil k karib sa hai...... |